Sunday, September 6, 2015

Ab ham tum he say karain gay chat

Ab ham tum he say karain gay chat
d for dog n c for cat
2 he bar Aata hoon net par main
aik tairay anay say pehlay aik tairay janay k bad
Apki chatting may dobnay ko dil chahta hai
magar kia karoon kambakht bech may computer ajata hai
Saray arman darya wich bah gay
wo mujh ko Bhai type kar gay
Tairay offline honay k bad bhe main nay
je bar k tujhay kosa hai
Hamare jan par Dohra azab hai
k chat he nahe mail bhe tujhay karne hai
Tairay bina chat ka maza mujhay bhata nahe
jistarhan phika gharboza koi khata nahe
Roz ye kahte hoon delete kardoon ga usay
roz he chat karnay baith jata hoon
Aik fun he tu ham nay sekha hai
loagon ko add kejeyae phir delete kardejeyae
Mila jo waqat mujhay un say chat karnay ka
maira naseb k light nay sath chor deya
Din ko bhe ham online huvay raat ko bhe
mukhtalif rooms may bhe chat kartay rahay
sara din type kartay rahay phir bhe magar na type huvay
janay kia kambakht kharabe the keyboard may jo words type nahe huvay
Chatters say ulagh kar unhain mun chirana maire fitrat hai
mujhay block honay pay ashk bahana nahe ata
Ao chup ke zuban may
itne chat karain k thak jain
Apni chat say main bhe wakif nahe
jab maire batain samjh lo mujhko bhe samjha daina
Chat karo ya block karo gila nahe kartay
light na ho tu chatters yaqenan online aya nahe kartay
kardo delete mujh ko magar ye khayal rahay
ham jaisay chatters bar bar mila nahe kartay
Unki chat ko kabhe ghor say parha hai
nahe sanjedge hai aur na he mazah hai
Ebtaidah ye k add huvay
intayha ye k delete hogay
Main nay bhe dartay dartay net k samander may ghota lagaya
jab koi bhe na pata tu main bahar nikal aya
Mat daikh kise ko hikarat ke nazar say
har chatter kise ka mehbob hota hai
kitna mazah hai maire chatting may
sanjedha loag bhe maire chat daikh kar shokh hogay
Jo kartay hain ache chat
wo bhe hojatay hain block daikho
Ye paheleyan atkaileyan ye heraneyan nadaniyan mushkil bare ye chating hai
bezateyan bechaneyan khamoshiyan tanhaeyan mushkil bare ye chating hai
machboreyan manmaneyan email karna reply ka wait karna mushkil bare ye chating
hai
ye khusheyan abadeyan weraniyan barbadeyan mushkil bare ye chating hai
Hamare typing tu aik fun hai
lagta hai tu hamre chating say buhat he tang hai…

No comments:

Post a Comment